Dil-e-nadan Koi Mahshar Na UThana Is Waqt

dil-e-nadan koi mahshar na uThana is waqt

aa raha hai meri baaton mein zamana is waqt

karb-e-tanhai ki tawil to mushkil hai bahut

kaise chup-chap hua aap ka aana is waqt

rasm-e-tajdid-e-marasim bhi zaruri hai magar

yaad aaya hai mujhe waqt purana is waqt

ye ghaDi koi faramosh nahin kar sakta

meri aankhon mein hai ek KHwab suhana is waqt

aa raha hai koi phir dam-e-nazar mein 'jafar'

aise manzar se nigahen na haTana is waqt

(773) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Dil-e-nadan Koi Mahshar Na UThana Is Waqt In English By Famous Poet Jafar Shirazi. Dil-e-nadan Koi Mahshar Na UThana Is Waqt is written by Jafar Shirazi. Read famous Poem Dil-e-nadan Koi Mahshar Na UThana Is Waqt for youth and Student by Jafar Shirazi. Free Download Dil-e-nadan Koi Mahshar Na UThana Is Waqt in PDF.