Dekhun To Mere Dil Mein Utarta Hai Ziyaada

dekhun to mere dil mein utarta hai ziyaada

shoala ki tah-e-ab nikharta hai ziyaada

kya jaaniye kya baat hai ab dasht ki nisbat

dil KHamushi-e-shahr se Darta hai ziyaada

andar ka wahi rog use bhi hai mujhe bhi

banta hai ziyaada wo sanwarta hai ziyaada

jo aankh ke jalte hue sahra se pare hai

baadal usi raste se guzarta hai ziyaada

ruKH shahr ki jaanib hua jangal ki hawa ka

aur shor mere dil mein ubharta hai ziyaada

'jafar' ye laga zaKHm-e-mohabbat bhi ajab hai

baDhta hai ziyaada jo na bharta hai ziyaada

(792) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Dekhun To Mere Dil Mein Utarta Hai Ziyaada In English By Famous Poet Jafar Shirazi. Dekhun To Mere Dil Mein Utarta Hai Ziyaada is written by Jafar Shirazi. Read famous Poem Dekhun To Mere Dil Mein Utarta Hai Ziyaada for youth and Student by Jafar Shirazi. Free Download Dekhun To Mere Dil Mein Utarta Hai Ziyaada in PDF.