Hawa Ka Shor Sada-e-sahab Mere Liye

hawa ka shor sada-e-sahab mere liye

jahan-e-jabr ka har iztirab mere liye

sulagta jata hun main aur paDhta jata hun

khula paDa hai zamane ka bab mere liye

main muntazir tha jahan par gulab khilne ka

wahin pareshan thi bu-e-gulab mere liye

ye meri umr ki shab ye uDi hui ninden

na koi KHwab na afsun-e-KHwab mere liye

tabah kar diya ahde-jawan ki baaton ne

shabab is ke liye tha sharab mere liye

jahan hai nashsha-e-KHwab-e-sahar mein khoya hua

hai sar pe aaya hua aaftab mere liye

raha hai dhyan mein ek jism chand sa 'jafar'

hui wahan hai shab-e-mahtab mere liye

(759) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Hawa Ka Shor Sada-e-sahab Mere Liye In English By Famous Poet Jafar Shirazi. Hawa Ka Shor Sada-e-sahab Mere Liye is written by Jafar Shirazi. Read famous Poem Hawa Ka Shor Sada-e-sahab Mere Liye for youth and Student by Jafar Shirazi. Free Download Hawa Ka Shor Sada-e-sahab Mere Liye in PDF.