Husn Aankhon Mein Rahe Dil Mein Jawani To Rahe

husn aankhon mein rahe dil mein jawani to rahe

zindagani tere hone ki nishani to rahe

us ki KHatir to gawara koi ban-bas bhi hai

sab ke honTon pe meri ram-kahani to rahe

zabt mein ye bhi hai goyai ka apna andaz

lab hon KHamosh magar ashk-fishani to rahe

gar ujalon se gurezan hai dhundlakon mein to aa

din ba-har-taur kaTa sham suhani to rahe

tu na shirin na main farhad magar yun to milen

hum rahen ya na rahen apni kahani to rahe

aao kuchh der karen pahle-pahal ki baaten

yaad is pyar ki wo rasm purani to rahe

teri aankhen to banen KHushk jazire 'jafar'

ye jo dariya hain to dariyaon mein pani to rahe

(749) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Husn Aankhon Mein Rahe Dil Mein Jawani To Rahe In English By Famous Poet Jafar Shirazi. Husn Aankhon Mein Rahe Dil Mein Jawani To Rahe is written by Jafar Shirazi. Read famous Poem Husn Aankhon Mein Rahe Dil Mein Jawani To Rahe for youth and Student by Jafar Shirazi. Free Download Husn Aankhon Mein Rahe Dil Mein Jawani To Rahe in PDF.