Jaan Aise KHwabon Se Kis Tarah ChhuDaun Main

jaan aise KHwabon se kis tarah chhuDaun main

shahr so gaya sara ab kise jagaun main

paemal sabze par dekh kar gire patte

ab zamin se KHud ko kis tarah uThaun main

in akeli raaton mein in akele raston par

kis ke sath aaun main kis ke sath jaun main

ek hi si tanhai ek hi sa sannaTa

dasht kya hai dil kya hai kya tujhe bataun main

dekh kaise din aae dekh main na kahta tha

tu qarib bhi aae aur tujhe bulaun main

aaj sab mein ghul-mil jaun mujh ko kya KHabar kal tak

kis ko yaad aaun main kis ko bhul jaun main

kitne kaam duniya ne de diye mujhe 'jafar'

ashk-e-gham giraun main bar-e-gham uThaun main

(644) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jaan Aise KHwabon Se Kis Tarah ChhuDaun Main In English By Famous Poet Jafar Shirazi. Jaan Aise KHwabon Se Kis Tarah ChhuDaun Main is written by Jafar Shirazi. Read famous Poem Jaan Aise KHwabon Se Kis Tarah ChhuDaun Main for youth and Student by Jafar Shirazi. Free Download Jaan Aise KHwabon Se Kis Tarah ChhuDaun Main in PDF.