Kahin Faza Mein Koi Abr Tairna To Chahiye

kahin faza mein koi abr tairna to chahiye

kahan hawaen kho gai hain sochna to chahiye

ye aur baat bagh bagh kar gain tabiaten

zara qarib se hansi ko dekhna to chahiye

ye maslahat bhi kya ki dil ki wusaten hon munjamid

ragon mein zindagi ka KHun dauDna to chahiye

main in udasiyon ko in rafaqaton ko kya karun

kiran ko jagna hawa ko bolna to chahiye

unhen bhi nok-e-sang se zara hila ke dekh lun

ki paniyon ka ye sukut toDna to chahiye

ye kya hua baDha ke silsile mujhe bhula diya

kahin mile to 'jafar' us se puchhna to chahiye

(737) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kahin Faza Mein Koi Abr Tairna To Chahiye In English By Famous Poet Jafar Shirazi. Kahin Faza Mein Koi Abr Tairna To Chahiye is written by Jafar Shirazi. Read famous Poem Kahin Faza Mein Koi Abr Tairna To Chahiye for youth and Student by Jafar Shirazi. Free Download Kahin Faza Mein Koi Abr Tairna To Chahiye in PDF.