Ji Larazta Hai UmaDti Hui Tanhai Se

ji larazta hai umaDti hui tanhai se

ab nikalo mujhe us raat ki pahnai se

aai yaadon ki hawa ghulne laga kan mein zahr

bujh gai sham bhi bajti hui shahnai se

puchhta phirta hun galiyon ke ujaDne ka sabab

har taraf jama hain kya log tamashai se

samne phaila hua dasht ka sannaTa hai

ab kahan bach ke chalen hum dil-e-saudai se

ban gaya ek qayamat dar-e-dil tak aana

aur guzarna hai abhi dhyan ki angnai se

kis tarah apna banaen use hum ai 'jafar'

baat aage na baDhi jis ki shanasai se

(680) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ji Larazta Hai UmaDti Hui Tanhai Se In English By Famous Poet Jafar Shirazi. Ji Larazta Hai UmaDti Hui Tanhai Se is written by Jafar Shirazi. Read famous Poem Ji Larazta Hai UmaDti Hui Tanhai Se for youth and Student by Jafar Shirazi. Free Download Ji Larazta Hai UmaDti Hui Tanhai Se in PDF.