Nashshe Mein Chashm-e-naz Jo Hansti Nazar PaDi

nashshe mein chashm-e-naz jo hansti nazar paDi

taswir-e-hoshiyari-o-masti nazar paDi

lahrai ek bar wo zulf-e-KHirad-shikar

koi na phir bulandi-o-pasti nazar paDi

uTThi thi pahli bar jidhar chashm-e-arzu

wo log phir mile na wo basti nazar paDi

husn-e-butan to aaina-e-husn-e-zat hai

zahid ko us mein kufr-parasti nazar paDi

yarab kabhi tu bul-hawason ko bhi de saza

mana hamari jaan to sasti nazar paDi

su-e-chaman gae the bahaaran samajh ke hum

dekha to ek aag-parasti nazar paDi

kaisi saba kahan ki nasim-e-chaman na puchh

nagin si phul phul ko Dasti nazar paDi

muddat ke baad apni taraf phir gaya KHayal

tum kya mile ki surat-e-hasti nazar paDi

shabnam ki bund bund ne hans hans ke jaan di

'tahir' kiran kiran bhi tarasti nazar paDi

(732) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Nashshe Mein Chashm-e-naz Jo Hansti Nazar PaDi In English By Famous Poet Jafar Tahir. Nashshe Mein Chashm-e-naz Jo Hansti Nazar PaDi is written by Jafar Tahir. Read famous Poem Nashshe Mein Chashm-e-naz Jo Hansti Nazar PaDi for youth and Student by Jafar Tahir. Free Download Nashshe Mein Chashm-e-naz Jo Hansti Nazar PaDi in PDF.