Ku-e-haram Se Nikli Hai Ku-e-butan Ki Rah

ku-e-haram se nikli hai ku-e-butan ki rah

hae kahan pe aa ke mili hai kahan ki rah

sad-asman-ba-daman-o-sad-kahkashan-ba-dosh

baam-e-buland-e-yar tere aastan ki rah

mulk-e-adam mein qafila-e-umr ja basa

hum dekhte hi rah gae us bad-guman ki rah

luTta raha hai zauq-e-nazar gam gam par

ab kya raha hai pas jo hum len wahan ki rah

ai zulf KHam-ba-KHam tujhe apna hi wasta

hamwar hone pae na umr-e-rawan ki rah

gul-ha-e-rang rang hain afkar-e-nau-ba-nau

ye rahguzar-e-sher hai kis gulsitan ki rah

'tahir' ye manzilen ye maqamat ye haram

allah re ye rah ye ku-e-butan ki rah

(780) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ku-e-haram Se Nikli Hai Ku-e-butan Ki Rah In English By Famous Poet Jafar Tahir. Ku-e-haram Se Nikli Hai Ku-e-butan Ki Rah is written by Jafar Tahir. Read famous Poem Ku-e-haram Se Nikli Hai Ku-e-butan Ki Rah for youth and Student by Jafar Tahir. Free Download Ku-e-haram Se Nikli Hai Ku-e-butan Ki Rah in PDF.