Ye Aur Baat Ki Ye Sehr Besh-o-kam Pe Chala

ye aur baat ki ye sehr besh-o-kam pe chala

siyah-raat ka jadu magar na hum pe chala

udhar se pahle bhi kuchh sarfarosh guzare the

rah-e-talab mein nishan-e-qadam qadam pe chala

ye tairan-e-chaman ka nasib kya kahiye

wo tir un ke liye waqf hai jo kam pe chala

KHuda KHuda ke ishaare pe lauT lauT gaya

taDap taDap ke tariq-e-sanam sanam pe chala

kabhi KHuda ki parastish kabhi sana-e-butan

rah-e-arab pe kabhi jada-e-ajam pe chala

asir-e-dam na hoga mera dil-e-azad

kisi ka hukm kabhi mauj-e-yam-ba-yam pe chala

tujhe bhi dekh liya hum ne o KHuda-e-ajal

ki tera zor chala bhi to ahl-e-gham pe chala

ye naqsh-e-pa hain ki zanjir-e-mauj-e-KHun yaro

ye kaun turfa-jawan jada-e-sitam pe chala

lab-o-nigah pe mohren lagi rahin 'tahir'

kisi ka zor na lekin mere qalam pe chala

(765) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ye Aur Baat Ki Ye Sehr Besh-o-kam Pe Chala In English By Famous Poet Jafar Tahir. Ye Aur Baat Ki Ye Sehr Besh-o-kam Pe Chala is written by Jafar Tahir. Read famous Poem Ye Aur Baat Ki Ye Sehr Besh-o-kam Pe Chala for youth and Student by Jafar Tahir. Free Download Ye Aur Baat Ki Ye Sehr Besh-o-kam Pe Chala in PDF.