Ye To Nahin Ki Hum Pe Sitam Hi Kabhi Na The

ye to nahin ki hum pe sitam hi kabhi na the

itna zarur tha ki wo naguftani na the

ai chashm-e-iltifat ye kya ho gaya tujhe

teri nazar mein hum to kabhi ajnabi na the

phirte hain aaftab-zada kaenat mein

hum par kisi ki zulf ke ehsan kabhi na the

pamal kar diya jo falak ne to kya kahen

hum to kisi kamal ke bhi muddai na the

kya jurm tha ye aaj bhi hum par nahin khula

ye ilm hai ki ahl-e-junun kushtani na the

har lamha tere ishq mein umr-e-abad bana

jo din bhi zindagi ke mile aarzi na the

murjha ke bhi gai na mahak jism-e-naz ki

ye motiye ke phul koi kaghzi na the

yaran-e-shahr ishq mein be-abru hue

hum par to mehrban wo kabhi the kabhi na the

iqlim-e-ashiqi ko diya din-e-shairi

hum sahib-e-kitab the garche nabi na the

hum jin ki nazr karte jawahar kalam ke

'tahir' hamare shahar mein wo jauhari na the

(1077) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ye To Nahin Ki Hum Pe Sitam Hi Kabhi Na The In English By Famous Poet Jafar Tahir. Ye To Nahin Ki Hum Pe Sitam Hi Kabhi Na The is written by Jafar Tahir. Read famous Poem Ye To Nahin Ki Hum Pe Sitam Hi Kabhi Na The for youth and Student by Jafar Tahir. Free Download Ye To Nahin Ki Hum Pe Sitam Hi Kabhi Na The in PDF.