Itna Bhi Shor Tu Na Gham-e-sina Chaak Kar

itna bhi shor tu na gham-e-sina chaak kar

ishq ek latif shola hai is ko na KHak kar

ai dil huzur-e-dost ba-sad ehtiram ja

daman ko chaak kar na gareban ko chaak kar

daur-e-gham-e-firaq ki tarikiyon ko dho

jalwon se un ke apna jahan tabnak kar

Dar hai kahin main shauq-e-farawan se mar na jaun

ai jazba-e-tarab na mujhe yun halak kar

aazad is se pahle ki un par nazar paDe

ashkon se dhoke apni nigahon ko pak kar

(703) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Itna Bhi Shor Tu Na Gham-e-sina Chaak Kar In English By Famous Poet Jagan Nath Azad. Itna Bhi Shor Tu Na Gham-e-sina Chaak Kar is written by Jagan Nath Azad. Read famous Poem Itna Bhi Shor Tu Na Gham-e-sina Chaak Kar for youth and Student by Jagan Nath Azad. Free Download Itna Bhi Shor Tu Na Gham-e-sina Chaak Kar in PDF.