Jab Apne Naghme Na Apni Zaban Tak Aae

jab apne naghme na apni zaban tak aae

tere huzur hum aa kar bahut hi pachhtae

KHayal ban na saka naghma garche hum ne use

hazar tarah ke malbus-e-lafz pahnae

ye husn-o-rang ka tufan hai maaz-allah

nigah jam na sake aur thak ke rah gae

jo dard uThe bhi to izhaar us ka ho kyunkar

huzur-e-husn agar aawaz baiTh hi jae

haTe nazar se na furqat ki dhup mein 'azad'

kisi ki sumbul-e-shab rang ke ghane sae

(581) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jab Apne Naghme Na Apni Zaban Tak Aae In English By Famous Poet Jagan Nath Azad. Jab Apne Naghme Na Apni Zaban Tak Aae is written by Jagan Nath Azad. Read famous Poem Jab Apne Naghme Na Apni Zaban Tak Aae for youth and Student by Jagan Nath Azad. Free Download Jab Apne Naghme Na Apni Zaban Tak Aae in PDF.