Jo Dil Ka Raaz Be-ah-o-fughan Kahna Hi PaDta Hai

jo dil ka raaz be-ah-o-fughan kahna hi paDta hai

to phir apne qafas ko aashiyan kahna hi paDta hai

tujhe ai tair-e-shaKH-e-nasheman kya KHabar is ki

kabhi sayyaad ko bhi baghban kahna hi paDta hai

ye duniya hai yahan har kaam chalta hai saliqe se

yahan patthar ko bhi lal-e-giran kahna hi paDta hai

ba-faiz-e-maslahat aisa bhi hota hai zamane mein

ki rahzan ko amir-e-karwan kahna hi paDta hai

murawwat ki qasam teri KHushi ke waste akasr

sarab-e-dasht ko aab-e-rawan kahna hi paDta hai

zabanon par dilon ki baat jab hum la nahin sakte

jafa ko phir wafa ki dastan kahna hi paDta hai

na puchho kya guzarti hai dil-e-KHuddar par akasr

kisi be-mehr ko jab mehrban kahna hi paDta hai

(625) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jo Dil Ka Raaz Be-ah-o-fughan Kahna Hi PaDta Hai In English By Famous Poet Jagan Nath Azad. Jo Dil Ka Raaz Be-ah-o-fughan Kahna Hi PaDta Hai is written by Jagan Nath Azad. Read famous Poem Jo Dil Ka Raaz Be-ah-o-fughan Kahna Hi PaDta Hai for youth and Student by Jagan Nath Azad. Free Download Jo Dil Ka Raaz Be-ah-o-fughan Kahna Hi PaDta Hai in PDF.