Europe Ki Pahli Jhalak

baad-o-baran se ulajhta KHanda-zan girdab par

ek jazira tairta jata hai sath-e-ab par

gum kai sadiyon ka us mein jazba-e-tahqiq hai

ye jazira aadmi ke zehn ki taKHliq hai

ja raha hai har ghaDi maujon se Takraata hua

apne hi andaz mein apna rajaz gata hua

bahr ki amwaj par bahte hue shahr-e-jamil

har qadam tera liye hai teri azmat ki dalil

aandhiyon ka zor, maujon ki rawani tujh mein hai

irtiqa-e-zehn-e-insan ki kahani tujh mein hai

har bhanwar mein aur har tufan mein sahil hai tu

sina-e-imroz-o-farda ka dhaDakta dil hai tu

to tajalli hi tajalli hai andheri raat mein

raushni ka hai manara aalam-e-zulmat mein

raat aai jag uTha insan ka zauq-e-be-bisat

aaKHiri is ka Thikana mard o zan ka iKHtilat

kis qadar arzan hue tahzib ke lamat-e-nur

allah allah chaar jaanib raushni ka ye wafur

is tarah se main ne kab dekhi thi mai-KHane mein dhum

auraton mardon ka laDkon laDkiyon ka ye hujum

sab nashe mein mast hain lekin hain kitne ba-KHabar

phir rahe hain sab ke sab ek dusre ko tham kar

ahmarin saghar, lab-e-lalin, nigahen mai-farosh

har taraf hai ek masti, har taraf hai ek KHarosh

is jagah idrak se begana koi bhi nahin

sab hain farzane yahan diwana koi bhi nahin

aql ki is bazm mein diwangi ka kaam kya

DhunDhta hai tu yahan aa kar dil-e-nakaam kya

itni aagahi kisi ko ho ye mohlat hi nahin

kis ki bahen kis ki gardan mein hamail ho gain

aa ke aaghosh-e-hawas mein KHud yahan girta hai husn

kis qadar kachche sahaare DhunDhta phirta hai husn

jis se KHira teri aankhen hain chamak europe ki hai

dekh ai 'azad'! ye pahli jhalak europe ki hai

(825) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Europe Ki Pahli Jhalak In English By Famous Poet Jagan Nath Azad. Europe Ki Pahli Jhalak is written by Jagan Nath Azad. Read famous Poem Europe Ki Pahli Jhalak for youth and Student by Jagan Nath Azad. Free Download Europe Ki Pahli Jhalak in PDF.