Meri Zindagi Hai Sarab Si Kabhi Maujzan Kabhi Tishna-dam

meri zindagi hai sarab si kabhi maujzan kabhi tishna-dam

kabhi intizar ki dhup si kabhi qurbaton ka koi bharam

teri chahaton ka ye silsila kisi dhup chhanw ke khel sa

kabhi pus magh ki dhup sa kabhi naghma-KHwan kabhi chashm-e-nam

mujhe chhu ke waqt guzar gaya zara ruk ke umr nikal gai

jo raha to pas yahi raha kabhi apna dukh kabhi sab ka gham

kabhi raston ke ghubar mein kabhi manzilon ke KHumar mein

kabhi justuju-e-bahaar mein rahe hadson se bandhe qadam

tera nam sun ke chali pawan tera zikr sun ke khila chaman

ki meri sawaneh-e-zist par tera nam likh ke ruka qalam

ye zara zara si shikayaten kahin ban na jaen hikayaten

yahi puchhte ki hua hai kya kabhi hum se tum kabhi tum se hum

kabhi qurbaton ka sukun mila kabhi furqaton ka junun mila

kabhi kho gae sabhi raste kabhi manzilon se mile qadam

(545) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Meri Zindagi Hai Sarab Si Kabhi Maujzan Kabhi Tishna-dam In English By Famous Poet Jagdeesh Parkash. Meri Zindagi Hai Sarab Si Kabhi Maujzan Kabhi Tishna-dam is written by Jagdeesh Parkash. Read famous Poem Meri Zindagi Hai Sarab Si Kabhi Maujzan Kabhi Tishna-dam for youth and Student by Jagdeesh Parkash. Free Download Meri Zindagi Hai Sarab Si Kabhi Maujzan Kabhi Tishna-dam in PDF.