Shahrahen Nahin Dagar To Hai

shahrahen nahin Dagar to hai

manzilen na sahi safar to hai

dur sahra mein ek chhoTa sa

be-samar hi sahi shajar to hai

muKHtasar go hai dastan meri

us ke anjam mein asar to hai

zulmat-e-shab giran hai ye mana

raat ke baad phir sahar to hai

hain dariche udas dar viran

kuchh nahin phir bhi apna ghar to hai

mere alfaz mein kashish na sahi

meri aawaz mein asar to hai

(508) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Shahrahen Nahin Dagar To Hai In English By Famous Poet Jagdeesh Parkash. Shahrahen Nahin Dagar To Hai is written by Jagdeesh Parkash. Read famous Poem Shahrahen Nahin Dagar To Hai for youth and Student by Jagdeesh Parkash. Free Download Shahrahen Nahin Dagar To Hai in PDF.