Tera KHayal Mujhe Is Tarah Pukarta Hai

tera KHayal mujhe is tarah pukarta hai

ki mandiron mein koi aarti utarta hai

hiloren leti hai kuchh is tarah teri yaaden

nadi mein jaise koi kashtiyan utarta hai

KHamoshiyon ke bichhaune pe shab ke pichhle pahar

tera KHayal nai aarzu ubhaarta hai

teri wafaon ke mausam badalte rahte hain

meri wafa ka chaman bas tujhe nihaarta hai

kuchh aahaTen si kahin ho rahi hain dil ke qarib

koi to hai jo meri bazm-e-jaan sanwarta hai

mujhe to apne aqidon ki puKHtagi hai aziz

nahin ye KHauf koi sar mera utarta hai

(602) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Tera KHayal Mujhe Is Tarah Pukarta Hai In English By Famous Poet Jagdeesh Parkash. Tera KHayal Mujhe Is Tarah Pukarta Hai is written by Jagdeesh Parkash. Read famous Poem Tera KHayal Mujhe Is Tarah Pukarta Hai for youth and Student by Jagdeesh Parkash. Free Download Tera KHayal Mujhe Is Tarah Pukarta Hai in PDF.