Tapish Se Bhag Kar Pyasa Gaya Hai

tapish se bhag kar pyasa gaya hai

samundar ki taraf sahra gaya hai

kuan maujud hai jal bhi mayassar

wo mere ghar se kyun tishna gaya hai

dobara ruh us mein phunk do tum

badan jo phir akela aa gaya hai

zaman apni rawish par to hai qaem

magar lamhat mein farq aa gaya hai

safar mein taza-dam hoga wo kaise

jo ghar hi se thaka-manda gaya hai

bana hoga KHas-o-KHashak se wo

jo nabh jalta hua dekha gaya hai

mujhe lahron ki kashti par biTha kar

bhanwar ki khoj mein dariya gaya hai

zamin se bhi tawaqqo kuchh hai aisi

dimagh-e-charKH jab chakra gaya hai

jo utra arsh ka ek ek tabqa

zamin par daera banta gaya hai

na fikr-e-warta thi us ko zara bhi

wo kashti zist ki kheta gaya hai

'figar' us mein wajud us ka milega

jo juyan bahr ka qatra gaya hai

(631) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Tapish Se Bhag Kar Pyasa Gaya Hai In English By Famous Poet Jagdeesh Raj Figar. Tapish Se Bhag Kar Pyasa Gaya Hai is written by Jagdeesh Raj Figar. Read famous Poem Tapish Se Bhag Kar Pyasa Gaya Hai for youth and Student by Jagdeesh Raj Figar. Free Download Tapish Se Bhag Kar Pyasa Gaya Hai in PDF.