Maine Jab Tab Jidhar Jidhar Dekha

main ne jab tab jidhar jidhar dekha

apni surat ka hi bashar dekha

ret mein dafn the makan jahan

un pe miTTi ka bhi asar dekha

jab sukunat thi meri barzaKH mein

nek ruhon ka ek nagar dekha

jo barahna mudam rahta tha

main ne malbus wo shajar dekha

apne maslak pe gamzan tha jab

raushni ko bhi ham-safar dekha

mujh pe tha har wajud ka saya

dhup ko jab barahna-sar dekha

mujh ko ehsas bartari ka hua

rifaton ko jab ek nazar dekha

jis ki tauhin ki sitaron ne

main ne aisa bhi ek qamar dekha

us ke ruKH par mera hi partaw tha

main ne jis ko bhi ek nazar dekha

us ki rudad bum se puchho

jo bhi kuchh us ne raat-bhar dekha

meri chiDiyon se thi rifaqat kya

saf suthra jo apna ghar dekha

dekhna tha ki dew sa bhi hun

chaDh ke kandhon pe apna sar dekha

aatma se jo rabta tha mera

zat apni mein ishwar dekha

bahr-o-bar se wo muKHtalif tha 'figar'

main ne manzar jo auj par dekha

(793) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Maine Jab Tab Jidhar Jidhar Dekha In English By Famous Poet Jagdeesh Raj Figar. Maine Jab Tab Jidhar Jidhar Dekha is written by Jagdeesh Raj Figar. Read famous Poem Maine Jab Tab Jidhar Jidhar Dekha for youth and Student by Jagdeesh Raj Figar. Free Download Maine Jab Tab Jidhar Jidhar Dekha in PDF.