Azal Se Baada-e-hasti Ki Arzani Nahin Jati

azal se baada-e-hasti ki arzani nahin jati

is arzani pe bhi us ki farawani nahin jati

hujum-e-ranj-o-gham ne is qadar mujh ko rulaya hai

ki ab rahat ki surat mujh se pahchani nahin jati

hui thi ek KHata sarzad so us ko muddaten guzrin

magar ab tak mere dil se pashemani nahin jati

chaman-zar-e-tamanna ka faqat ek phul murjhaya

usi din se mere gulshan ki virani nahin jati

mere ashkon se kya nisbat tumhein ai anjum-e-gardun

ki un ki roz-e-raushan mein bhi tabani nahin jati

meri wahshat mein shayad aa chale andaz-e-ranai

ki zulfon ki tarah dil ki pareshani nahin jati

(636) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Azal Se Baada-e-hasti Ki Arzani Nahin Jati In English By Famous Poet Jagdish Sahay Saxena. Azal Se Baada-e-hasti Ki Arzani Nahin Jati is written by Jagdish Sahay Saxena. Read famous Poem Azal Se Baada-e-hasti Ki Arzani Nahin Jati for youth and Student by Jagdish Sahay Saxena. Free Download Azal Se Baada-e-hasti Ki Arzani Nahin Jati in PDF.