Apne Hisar-e-zat Mein Uljha Hua Hun Main

apne hisar-e-zat mein uljha hua hun main

yani ki kaenat mein uljha hua hun main

qabu mein aaj dil nahin kya ho gaya mujhe

phir aaj KHwahishat mein uljha hua hun main

jaise ki hone wali hai anhoni phir koi

har-pal tawahhumat mein uljha hua hun main

kuchh apna farz pyar tera fikr-e-rozgar

kitne hi wardat mein uljha hua hun main

fursat kahan banaun marasim nae nae

pichhle talluqat mein uljha hua hun main

sab hain asir-e-ranj-o-alam is jahan mein

tanha kahan hayat mein uljha hua hun main

'nayab' jab nahin hai wafaon ka us ko pas

phir kyun takallufat mein uljha hua hun main

(729) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Apne Hisar-e-zat Mein Uljha Hua Hun Main In English By Famous Poet Jahangeer Nayab. Apne Hisar-e-zat Mein Uljha Hua Hun Main is written by Jahangeer Nayab. Read famous Poem Apne Hisar-e-zat Mein Uljha Hua Hun Main for youth and Student by Jahangeer Nayab. Free Download Apne Hisar-e-zat Mein Uljha Hua Hun Main in PDF.