Bayan-e-haal Mufassal Nahin Hua Ab Tak

bayan-e-haal mufassal nahin hua ab tak

jo masala tha wahi hal nahin hua ab tak

nahin raha kabhi main is ki dastaras se dur

meri nazar se wo ojhal nahin hua ab tak

bichhaD ke tujh se ye lagta tha TuT jaunga

KHuda ka shukr hai pagal nahin hua ab tak

jalae rakkha hai main ne bhi ek charagh-e-umid

tumhaara dar bhi muqaffal nahin hua ab tak

mujhe tarash raha hai ye kaun barson se

mera wajud mukammal nahin hua ab tak

daraaz dast-e-tamanna nahin kiya main ne

karam tumhaara musalsal nahin hua ab tak

baras kuchh aur meri jaan TuT ke mujh par

ye KHitta jism ka jal-thal nahin hua ab tak

na aaya baz wo 'nayab' apni fitrat se

wafa ka shahr bhi jangal nahin hua ab tak

(892) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Bayan-e-haal Mufassal Nahin Hua Ab Tak In English By Famous Poet Jahangeer Nayab. Bayan-e-haal Mufassal Nahin Hua Ab Tak is written by Jahangeer Nayab. Read famous Poem Bayan-e-haal Mufassal Nahin Hua Ab Tak for youth and Student by Jahangeer Nayab. Free Download Bayan-e-haal Mufassal Nahin Hua Ab Tak in PDF.