Aane Mein Tere Dost Bahut Der Ho Gai

aane mein tere dost bahut der ho gai

bazm-e-hayat ab zabar-o-zer ho gai

parde kuchh aise ru-ba-ru aankhon ke aa gae

duniya meri nigah mein andher ho gai

duniya ke jabr-o-jaur se kyunkar aman mile

main chup raha to aur bhi wo sher ho gai

kya puchhte hain ab dil-e-mahzun ka haal aap

us ko mare hue to bahut der ho gai

har chand zindagi ne sambhaale liye bahut

phir bhi ajal ke hath se wo zer ho gai

'sarshaar' zikr-e-raunaq-e-bagh-e-jahan na kar

ukta gaya dil is se nazar ser ho gai

(752) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Aane Mein Tere Dost Bahut Der Ho Gai In English By Famous Poet Jaimini Sarshar. Aane Mein Tere Dost Bahut Der Ho Gai is written by Jaimini Sarshar. Read famous Poem Aane Mein Tere Dost Bahut Der Ho Gai for youth and Student by Jaimini Sarshar. Free Download Aane Mein Tere Dost Bahut Der Ho Gai in PDF.