Bahut KHush The Sahil Qarib Aa Gaya

bahut KHush the sahil qarib aa gaya

safina kinare se Takra gaya

hai behad KHatarnak bahr-e-jahan

jo insan bhi is mein Duba gaya

tere Dar se chhup-chhup ke pite the hum

gaya shaiKH ab wo zamana gaya

mujhe zindagi ki duaen na do

main aisi duaon se ukta gaya

na samho kisi ki kisi baat ko

tumhein kaun ye baat samjha gaya

wafaen nahin wo jafaen nahin

nizam-e-jahan kuchh badal sa gaya

ye chhup chhup ke milna bhi hai ek azab

koi aa gaya wo koi aa gaya

yahan the to 'sarshaar' kya kuchh na the

gae wo to KHat bhi na bheja gaya

(645) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Bahut KHush The Sahil Qarib Aa Gaya In English By Famous Poet Jaimini Sarshar. Bahut KHush The Sahil Qarib Aa Gaya is written by Jaimini Sarshar. Read famous Poem Bahut KHush The Sahil Qarib Aa Gaya for youth and Student by Jaimini Sarshar. Free Download Bahut KHush The Sahil Qarib Aa Gaya in PDF.