Zindagi Chain Pa Nahin Sakti

zindagi chain pa nahin sakti

maut ko maut aa nahin sakti

phunk sakti hai barq gulshan ko

phul is mein khila nahin sakti

toD deti hai maut saz-e-hayat

lekin is ko baja nahin sakti

tum na chaho to ye nasim-e-bahaar

gul chaman mein khila nahin sakti

zindagi lakh tabdar sahi

maut ki tab la nahin sakti

hum pe hansna to us ko aata hai

hum ko duniya hansa nahin sakti

hum se insan kahan milenge use

hum ko duniya bhula nahin sakti

(789) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Zindagi Chain Pa Nahin Sakti In English By Famous Poet Jaimini Sarshar. Zindagi Chain Pa Nahin Sakti is written by Jaimini Sarshar. Read famous Poem Zindagi Chain Pa Nahin Sakti for youth and Student by Jaimini Sarshar. Free Download Zindagi Chain Pa Nahin Sakti in PDF.