Teri Rahmat Ne Kar Diya GustaKH

teri rahmat ne kar diya gustaKH

warna pahle to main na tha gustaKH

aap jo kuchh kahen sar aankhon par

aur main ne jo kuchh kaha gustaKH

saf-goi se kaam leta hun

tum ne mujh ko samajh liya gustaKH

kaT dete wo kyun na hath mera

un ke daman pe baDh chala gustaKH

khul gai aankh ab to ai nargis

aur un se nazar mila gustaKH

munh pe kahte use nahin banta

warna 'sarshaar' hai baDa gustaKH

(725) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Teri Rahmat Ne Kar Diya GustaKH In English By Famous Poet Jaimini Sarshar. Teri Rahmat Ne Kar Diya GustaKH is written by Jaimini Sarshar. Read famous Poem Teri Rahmat Ne Kar Diya GustaKH for youth and Student by Jaimini Sarshar. Free Download Teri Rahmat Ne Kar Diya GustaKH in PDF.