Sajda Aur Un Ke Aastane Ka

sajda aur un ke aastane ka

hausla dekhiye zamane ka

aazmaenge dhaar KHanjar ki

ye bahana hai KHun bahane ka

dil-e-sada ki sadgi dekho

e'tibar aur phir zamane ka

kis maze se qafas mein ahl-e-qafas

zikr sunte hain aashiyane ka

sath chalna hai jab zamane ke

shikwa kyun kijiye zamane ka

wo zamana abhi nahin aaya

KHwab dekha tha jis zamane ka

tum KHud ahl-e-nazar ho ai 'sarshaar'

rang dekha karo zamane ka

(769) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Sajda Aur Un Ke Aastane Ka In English By Famous Poet Jaimini Sarshar. Sajda Aur Un Ke Aastane Ka is written by Jaimini Sarshar. Read famous Poem Sajda Aur Un Ke Aastane Ka for youth and Student by Jaimini Sarshar. Free Download Sajda Aur Un Ke Aastane Ka in PDF.