KHamosh Hain Lab Aur Aankhon Se Aansu Hain Ki Paiham Bahte Hain

KHamosh hain lab aur aankhon se aansu hain ki paiham bahte hain

hum samne un ke baiThe hain aur qissa-e-furqat kahte hain

ab husn-o-ishq mein farq nahin ab donon ki ek haalat hai

main un ko dekhta rahta hun wo mujh ko dekhte rahte hain

un ki wo haya wo KHamoshi apni wo mohabbat ki nazren

wo sunne ko sab kuchh sunte hain hum kahne ko sab kuchh kahte hain

is shauq-e-farawan ki yarab aaKHir koi had bhi hai ki nahin

inkar karen wo ya wada hum rasta dekhte rahte hain

hamdard nahin hamraaz nahin kis se kahiye kyunkar kahiye

jo dil pe guzarti rahti hai jo jaan pe sadme sahte hain

aa dekh ki zalim furqat mein kya haal mera behaal hua

aahon se sharare jhaDte hain aankhon se dariya bahte hain

'akbar' shayad dil kho baiThe wo jalse wo ahbab nahin

tanha KHamosh se phirte hain har waqt udas se rahte hain

(636) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

KHamosh Hain Lab Aur Aankhon Se Aansu Hain Ki Paiham Bahte Hain In English By Famous Poet Jalaluddin Akbar. KHamosh Hain Lab Aur Aankhon Se Aansu Hain Ki Paiham Bahte Hain is written by Jalaluddin Akbar. Read famous Poem KHamosh Hain Lab Aur Aankhon Se Aansu Hain Ki Paiham Bahte Hain for youth and Student by Jalaluddin Akbar. Free Download KHamosh Hain Lab Aur Aankhon Se Aansu Hain Ki Paiham Bahte Hain in PDF.