Ajab Asbab Karta Ja Raha Hun

ajab asbab karta ja raha hun

lahu simab karta ja raha hun

main apni mauj mein ek raqs-e-digar

sar-e-girdab karta ja raha hun

azal se jagti aankhon jahan mein

basar ek KHwab karta ja raha hun

sar-e-mizhgan ubharta hai jo tara

use mahtab karta ja raha hun

jo dil ek umr se banjar paDe the

unhen sairab karta ja raha hun

main rah-e-shauq ki har kankari ko

dur-e-nayab karta ja raha hun

wo ejaz-e-suKHan baKHsha hai us ne

chaTanen aab karta ja raha hun

(782) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ajab Asbab Karta Ja Raha Hun In English By Famous Poet Jaleel 'Aali'. Ajab Asbab Karta Ja Raha Hun is written by Jaleel 'Aali'. Read famous Poem Ajab Asbab Karta Ja Raha Hun for youth and Student by Jaleel 'Aali'. Free Download Ajab Asbab Karta Ja Raha Hun in PDF.