Apne Hone Ki Ihanat Nahin Hum Kar Sakte

apne hone ki ihanat nahin hum kar sakte

so teri yaad se ghaflat nahin hum kar sakte

dil mein late nahin dushman se bhi nafrat ka KHayal

is se kam koi ibaadat nahin hum kar sakte

dur rahte hain takabbur ki hawa se lekin

ijz ko ghafil-e-ghairat nahin hum kar sakte

maslahat sahar bahut phunkti phirti hai bhare

kam qad-o-qamat-e-wahshat nahin hum kar sakte

Dher tafrih-e-tan-o-jaan ke laga do jitne

tark ek dard ki daulat nahin hum kar sakte

chhoD sakte hain ye sab sehn-o-dar-o-baam-e-jahan

qariya-e-KHwab se hijrat nahin hum kar sakte

tum zamin par jo KHuda bante chale jate ho

kya samajhte ho baghawat nahin hum kar sakte

jis rawish bhi ho rawan ghol-e-zamana 'ali'

aap se koi riayat nahin hum kar sakte

(728) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Apne Hone Ki Ihanat Nahin Hum Kar Sakte In English By Famous Poet Jaleel 'Aali'. Apne Hone Ki Ihanat Nahin Hum Kar Sakte is written by Jaleel 'Aali'. Read famous Poem Apne Hone Ki Ihanat Nahin Hum Kar Sakte for youth and Student by Jaleel 'Aali'. Free Download Apne Hone Ki Ihanat Nahin Hum Kar Sakte in PDF.