Guzar Gaya Jo Mere Dil Pe Saneha Ban Kar

guzar gaya jo mere dil pe saneha ban kar

utar gaya wo meri ruh mein KHuda ban kar

tera KHayal shab-e-hijr phailta hi gaya

hazar rang ki sochon ka silsila ban kar

wafa ke sang se Takra ke ehtijaj-e-ana

salib-e-lab pe sisakne laga dua ban kar

badan ke dasht mein man ki hasin subhon ko

nikal raha hai gham-e-dahr azhdaha ban kar

kabhi to dip jalen gul khilen faza mahke

kabhi to aa shab-e-viran mein ratjaga ban kar

tamam umr jise DhunDte rahe 'aali'

kahin mila bhi agar wo to fasla ban kar

(670) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Guzar Gaya Jo Mere Dil Pe Saneha Ban Kar In English By Famous Poet Jaleel 'Aali'. Guzar Gaya Jo Mere Dil Pe Saneha Ban Kar is written by Jaleel 'Aali'. Read famous Poem Guzar Gaya Jo Mere Dil Pe Saneha Ban Kar for youth and Student by Jaleel 'Aali'. Free Download Guzar Gaya Jo Mere Dil Pe Saneha Ban Kar in PDF.