Ghurur-e-koh Ke Hote Niyaz-e-kah Rakhte Hain

ghurur-e-koh ke hote niyaz-e-kah rakhte hain

tere ham-rah rahne ko qadam kotah rakhte hain

andheron mein bhi gum hoti nahin samt-e-safar apni

nigahon mein firozan ek shabih-e-mah rakhte hain

ye duniya kya hamein apni Dagar par le ke jaegi

hum apne sath bhi marzi ki rasm-o-rah rakhte hain

wo diwar-e-ana ki oT kis kis aag jalta hai

dil o dida ko sab ahwal se aagah rakhte hain

Dar-o-bast-e-jahan mein dekhte hain saqm kuchh 'ali'

aur apni soch ka ek naqsha-e-islah rakhte hain

(716) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ghurur-e-koh Ke Hote Niyaz-e-kah Rakhte Hain In English By Famous Poet Jaleel 'Aali'. Ghurur-e-koh Ke Hote Niyaz-e-kah Rakhte Hain is written by Jaleel 'Aali'. Read famous Poem Ghurur-e-koh Ke Hote Niyaz-e-kah Rakhte Hain for youth and Student by Jaleel 'Aali'. Free Download Ghurur-e-koh Ke Hote Niyaz-e-kah Rakhte Hain in PDF.