Ek Hamin Silsila-e-shauq Sambhaale Hue Hain

ek hamin silsila-e-shauq sambhaale hue hain

wo to sab ahd-e-wafa hashr pe Tale hue hain

walwale dil ke sambhalte hi nahin sine mein

jaane kis chand ke ye bahr uchhaale hue hain

qariya-e-KHwab ki jis nur nahaya hua hai

hum usi se ye shab o roz ujale hue hain

waqt duniya mein phiraata hai dinon ko kya kya

dekh jo koh the wo rui ke gale hue hain

tu mile ya na mile jo ho muqaddar apna

kya ye kam hai ki tere chahne wale hue hain

gundh kar Dhaal kisi surat-e-yaktai mein

jaan o tan qalb o nazar tere hawale hue hain

(688) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ek Hamin Silsila-e-shauq Sambhaale Hue Hain In English By Famous Poet Jaleel 'Aali'. Ek Hamin Silsila-e-shauq Sambhaale Hue Hain is written by Jaleel 'Aali'. Read famous Poem Ek Hamin Silsila-e-shauq Sambhaale Hue Hain for youth and Student by Jaleel 'Aali'. Free Download Ek Hamin Silsila-e-shauq Sambhaale Hue Hain in PDF.