Ek Aisi An-kahi Tahrir Karne Ja Raha Hun

ek aisi an-kahi tahrir karne ja raha hun

hunar ko aur bhi gambhir karne ja raha hun

mere ehsas mein bechain jis ke KHal-o-KHad hain

use har aankh mein taswir karne ja raha hun

main farhad-e-maani tisha-e-harf-o-bayan se

suKHan ki jhil ju-e-shir karne ja raha hun

dilon ke darmiyan raston mein kitne KHam paDe hain

main un ko phir se sidha tir karne ja raha hun

wo jis mein be-nawaon ke lahu ki surKHiyan hain

kulah-e-shah lir-o-lir karne ja raha hun

mujhe zanjirna hai apne hisse ka zamana

so apne aap ko tasKHir karne ja raha hun

sada tabir-dar-tabir jo rakkhe safar mein

main wo KHwab-e-digar tamir karne ja raha hun

(655) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ek Aisi An-kahi Tahrir Karne Ja Raha Hun In English By Famous Poet Jaleel 'Aali'. Ek Aisi An-kahi Tahrir Karne Ja Raha Hun is written by Jaleel 'Aali'. Read famous Poem Ek Aisi An-kahi Tahrir Karne Ja Raha Hun for youth and Student by Jaleel 'Aali'. Free Download Ek Aisi An-kahi Tahrir Karne Ja Raha Hun in PDF.