Jab Bhi Mausam-e-hunar Harf O Bayan Le Jae

jab bhi mausam-e-hunar harf o bayan le jae

yun lage jism se jaise koi jaan le jae

hum ki hain naqsh sar-e-reg-e-rawank kya jaane

kab koi mauj-e-hawa apna nishan le jae

ek aazadi ki zindani-e-KHwahish kar de

ek asiri ki karan-ta-ba-karan le jae

wahshat-e-shauq muqaddar thi so bachte kab tak

ab to ye sail-e-bala-KHez jahan le jae

ek parchhain ke pichhe hain azal se 'ali'

ye taaqub hamein kya jaane kahan le jae

(586) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jab Bhi Mausam-e-hunar Harf O Bayan Le Jae In English By Famous Poet Jaleel 'Aali'. Jab Bhi Mausam-e-hunar Harf O Bayan Le Jae is written by Jaleel 'Aali'. Read famous Poem Jab Bhi Mausam-e-hunar Harf O Bayan Le Jae for youth and Student by Jaleel 'Aali'. Free Download Jab Bhi Mausam-e-hunar Harf O Bayan Le Jae in PDF.