Jism Ke KHol Se Niklun To Qaza Ko Dekhun

jism ke KHol se niklun to qaza ko dekhun

but ko raste se haTaun to KHuda ko dekhun

aisa kya jurm hua hai ki taDapte marte

apne ehsas ki suli pe ana ko dekhun

bolti aankh ka ras hanste hue lafz ka rup

baat nazron ki sunun ya ki sada ko dekhun

in ki qismat ki khilen roz tamanna ke gulab

meri taqdir ki zaKHmon ki chita ko dekhun

is tawaqqo pe ki shayad koi darwesh mile

ghaur se shahar ke ek ek gada ko dekhun

mujh ko tahzib ke maktab ne sikhaya hai yahi

taKHti-e-dil na paDhun rang-e-qaba ko dekhun

(738) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jism Ke KHol Se Niklun To Qaza Ko Dekhun In English By Famous Poet Jaleel 'Aali'. Jism Ke KHol Se Niklun To Qaza Ko Dekhun is written by Jaleel 'Aali'. Read famous Poem Jism Ke KHol Se Niklun To Qaza Ko Dekhun for youth and Student by Jaleel 'Aali'. Free Download Jism Ke KHol Se Niklun To Qaza Ko Dekhun in PDF.