LuTte Hain Bahut Sahl Ki Din Aise KaDe Hain

luTte hain bahut sahl ki din aise kaDe hain

ghar mein nahin jaise kahin jangal mein paDe hain

sar sanjh ke kab hain faqat ek shor-e-ana hai

chahat ke qabile nahin KHwahish ke dhaDe hain

kis rang se tum sang zamane ke chale ho

har nang mein nashshe tumhein kuchh aur chaDhe hain

din raat hain be-mahr hawaon ke hawale

patton ki tarah jaise daraKHton se jhaDe hain

duniya to hai duniya ki wo dushman hai sada ki

sau bar tere ishq mein hum KHud se laDe hain

yalghaar karun kya mere pindar ke parcham

raste mein pahaDon ki tarah aan khaDe hain

itne bhi tahi-dast talluq nahin 'ali'

is shahr mein kuchh apne bhi mashrab ke thaDe hain

(726) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

LuTte Hain Bahut Sahl Ki Din Aise KaDe Hain In English By Famous Poet Jaleel 'Aali'. LuTte Hain Bahut Sahl Ki Din Aise KaDe Hain is written by Jaleel 'Aali'. Read famous Poem LuTte Hain Bahut Sahl Ki Din Aise KaDe Hain for youth and Student by Jaleel 'Aali'. Free Download LuTte Hain Bahut Sahl Ki Din Aise KaDe Hain in PDF.