Masafaten Kab Guman Mein Thin Safar Se Aage

masafaten kab guman mein thin safar se aage

nikal gae apni dhun mein us ke nagar se aage

shajar se ek umr ki rifaqat ke silsile hain

nigah ab dekhti hai barg o samar se aage

ye dil shab o roz us ki galiyon mein ghumta hai

wo shahr jo bas raha hai dasht-e-nazar se aage

KHajil KHayalon ki bhiD hairat se tak rahi hai

guzar gaya rah-raw-e-tamanna kidhar se aage

tilism-e-aks-o-sada se nikle to dil ne jaana

ye harf kuchh kah rahe hain arz-e-hunar se aage

nisar un saaton pe sadiyon ke sahar 'ali'

jiye hain jin ke jilo mein sham o sahar se aage

(889) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Masafaten Kab Guman Mein Thin Safar Se Aage In English By Famous Poet Jaleel 'Aali'. Masafaten Kab Guman Mein Thin Safar Se Aage is written by Jaleel 'Aali'. Read famous Poem Masafaten Kab Guman Mein Thin Safar Se Aage for youth and Student by Jaleel 'Aali'. Free Download Masafaten Kab Guman Mein Thin Safar Se Aage in PDF.