Rasta Sochte Rahne Se Kidhar Banta Hai

rasta sochte rahne se kidhar banta hai

sar mein sauda ho to diwar mein dar banta hai

aag hi aag ho sine mein to kya phul jhaDen

shola hoti hai zaban lafz sharar banta hai

zindagi soch azabon mein guzari hai miyan

ek din mein kahan andaz-e-nazar banta hai

muddai taKHt ke aate hain chale jate hain

shahr ka taj koi KHak-basar banta hai

ishq ki rah ke meyar alag hote hain

ek juda zaicha-e-nafa-o-zarar banta hai

apna izhaar asir-e-rawish-e-am nahin

jaise kah den wahi meyar-e-hunar banta hai

(873) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Rasta Sochte Rahne Se Kidhar Banta Hai In English By Famous Poet Jaleel 'Aali'. Rasta Sochte Rahne Se Kidhar Banta Hai is written by Jaleel 'Aali'. Read famous Poem Rasta Sochte Rahne Se Kidhar Banta Hai for youth and Student by Jaleel 'Aali'. Free Download Rasta Sochte Rahne Se Kidhar Banta Hai in PDF.