Ye Jo Alfaz Ko Mahkar Banaya Hua Hai

ye jo alfaz ko mahkar banaya hua hai

ek gul ka ye sab asrar banaya hua hai

soch ko sujh kahan hai ki jo kuchh kah pae

dil ne kya kya pas-e-diwar banaya hua hai

pair jate hain ye dariya-e-shab-o-roz aksar

bagh ek sair ko us par banaya hua hai

shauq-e-dahliz pe be-tab khaDa hai kab se

dard gundhe hue hain haar banaya hua hai

ye to apnon hi ke charkon ki sulag hai warna

dil ne har aag ko gulzar banaya hua hai

toDna hai jo talluq to tazabzub kaisa

shaKH-e-ehsas pe kya bar banaya hua hai

jaan khapate hain gham-e-ishq mein KHush KHush 'ali'

kaisi lazzat ka ye aazar banaya hua hai

(822) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ye Jo Alfaz Ko Mahkar Banaya Hua Hai In English By Famous Poet Jaleel 'Aali'. Ye Jo Alfaz Ko Mahkar Banaya Hua Hai is written by Jaleel 'Aali'. Read famous Poem Ye Jo Alfaz Ko Mahkar Banaya Hua Hai for youth and Student by Jaleel 'Aali'. Free Download Ye Jo Alfaz Ko Mahkar Banaya Hua Hai in PDF.