Charagh-e-ishq Jalta Hai Hamare Qalb-e-viran Mein

charagh-e-ishq jalta hai hamare qalb-e-viran mein

chale aao abhi tak raushni hai is bayaban mein

nahin ai dost in ashkon ka koi dekhne wala

daraKHshan hain jo anjum ki tarah chaak-e-gareban mein

kuchh aise gham bhi hote hain jo ashkon mein nahin Dhalte

sharare ban ke lekin raqs karte hain rag-e-jaan mein

banana tha jise mansur use dar-o-rasan baKHsha

use yusuf banate hain jise rakhte hain zindan mein

wo kashti aaj Duba chahti hai pas sahil ke

salamat ek muddat tak rahi jo bahr-e-tufan mein

zamane mein faqat ek bebasi ka sath hota hai

koi apna nahin hota kabhi haal-e-pareshan mein

(762) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Charagh-e-ishq Jalta Hai Hamare Qalb-e-viran Mein In English By Famous Poet Jaleel Allahabadi. Charagh-e-ishq Jalta Hai Hamare Qalb-e-viran Mein is written by Jaleel Allahabadi. Read famous Poem Charagh-e-ishq Jalta Hai Hamare Qalb-e-viran Mein for youth and Student by Jaleel Allahabadi. Free Download Charagh-e-ishq Jalta Hai Hamare Qalb-e-viran Mein in PDF.