ShaKHcha KHak-e-gulistan Mein PaDa Hai Yaro

shaKHcha KHak-e-gulistan mein paDa hai yaro

us se ehsan-e-bahaaran na uTha hai yaro

tum ne puchha hai na kuchh hum ne kaha hai yaro

hadisa hum pe jo guzra hai to kya hai yaro

kar gaya KHak hamein ruKHsat-e-gul ka manzar

zaKHm-e-nazzara magar ab bhi hara hai yaro

maryam-e-sham khule baal phir aati dekho

phir masiha koi suli pe chaDha hai yaro

raat andheri sahi mayus nahin nur se hum

ashk palkon pe abhi kanp raha hai yaro

ab meri shab mere ashkon se rahegi raushan

sham ke waqt diya mera bujha hai yaro

samne aate ho ab ajnabiyon ki surat

ye bhi shayad koi yari ki ada hai yaro

panw hain KHak pe KHurshid pe saya us ka

'hashami' khoj mein ye kis ki chala hai yaro

(624) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

ShaKHcha KHak-e-gulistan Mein PaDa Hai Yaro In English By Famous Poet Jaleel Hashmi. ShaKHcha KHak-e-gulistan Mein PaDa Hai Yaro is written by Jaleel Hashmi. Read famous Poem ShaKHcha KHak-e-gulistan Mein PaDa Hai Yaro for youth and Student by Jaleel Hashmi. Free Download ShaKHcha KHak-e-gulistan Mein PaDa Hai Yaro in PDF.