Sikh Liya Jina Maine

sikh liya jina main ne

itna zahr piya main ne

shikwa nahin kiya main ne

aansu ponchh liya main ne

un se mil kar aaya hun

KHwab nahin dekha main ne

hawa ko aate jab dekha

raushan kiya diya main ne

pyasa tha karta bhi kya

likh Dala dariya main ne

parcham sa lahraya hun

khai tez hawa main ne

husn-e-chaman likhta kaise

paDha na ek patta main ne

diwaron ki basti mein

darwaza likkha main ne

pash pash hua phir bhi

sar uncha rakkha main ne

kisi ko kya dena 'hashmi'

qarz hi kiye ada main ne

(776) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Sikh Liya Jina Maine In English By Famous Poet Jaleel Hashmi. Sikh Liya Jina Maine is written by Jaleel Hashmi. Read famous Poem Sikh Liya Jina Maine for youth and Student by Jaleel Hashmi. Free Download Sikh Liya Jina Maine in PDF.