Black-out Ki AaKHiri Raat

ab hum jaan gae hain ki andhere hamara muqaddar nahin the

balki tum ne shahr ki tamam street-lights bujha di thin

hamara frustration tumhaari makkari hai ki hum se mohabbat aur jins ki

sachchi masarraten chhin kar tum ne hamein blue-film ka aadi bana diya

hamare hashish bhare sigreTon ka dhuan tumhaari mashinon ke azab

aur milon ki chimniyon se nikalne wale zahr ka natija hai

lekin ab zahr tumhaara muqaddar hoga ki hum tawanai ke sath zinda rahne ka gur jaan gae hain

ab hum continent ke KHunKHar bheDiyon aur siberia ke

barfani richhon se nahin Darte jinhon ne puri duniya ko nazi camp bana diya tha

ab hamein in masKHare toton ki danishwari nahin chahiye jo hazaron

sal ki raTi-raTai baaten dohra kar hamein ilm ke nam par bewaquf bana rahe the

plato bahut baDa aadmi tha phir bhi apne daur ki republican hum KHud likhenge

hum masum bachche hain magar hamare khilaune toD kar tum ne hamein galiyan dene par majbur kar diya

kal hum picnic manate manate magarmachh ke munh mein chale gae the

lekin aaj paniyon par aag laga kar tairte rahne ka fan sikh chuke hain

kal hum tum se baat karte Darte the lekin aaj

KHuda se hot-line par guftugu kar rahe hain

agar tum rockiton par baiTh kar bhagoDon ki tarah chand aur mirriKH ki taraf

jaana chahte ho to jao hamein hamari zamin aur aane wala zamana chahiye

raat fahisha aurat thi jo tumhaare sath soi rahi

lekin ab din nikal chuka hai aur us ka raushan suraj

andheron black-out aur fahisha auraton ke liye maut ki alamat hai

(625) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Black-out Ki AaKHiri Raat In English By Famous Poet Jaleel Hashmi. Black-out Ki AaKHiri Raat is written by Jaleel Hashmi. Read famous Poem Black-out Ki AaKHiri Raat for youth and Student by Jaleel Hashmi. Free Download Black-out Ki AaKHiri Raat in PDF.