Aashiqi Kya Har Bashar Ka Kaam Hai

aashiqi kya har bashar ka kaam hai

mere dil mere jigar ka kaam hai

ho hari shaKH-e-tamanna ya na ho

sinch dena chashm-e-tar ka kaam hai

baDh chale paik-e-tasawwur ka qadam

ab yahan kya nama-bar ka kaam hai

dil mera le jaane wala kaun tha

ye kisi jadu-nazar ka kaam hai

hum se kya ho wasf qatil ka bayan

ye lab-e-zaKHm-e-jigar ka kaam hai

maut jab aae to rahi jaan ho

is safar mein rahbar ka kaam hai

faisla hone mein dushwari hai kya

tere KHanjar mere sar ka kaam hai

aaj aansu tum ne ponchhe bhi to kya

ye to apna umr bhar ka kaam hai

gul dikhate hain hamein kya zaKHm-e-tan

dil pe khana koi charka kaam hai

dil se lae lab pe hum aah-o-fughan

ab tujhe lana asar ka kaam hai

dar-ba-dar phirte hi guzri charKH ko

ye usi bedad-gar ka kaam hai

aankhon aankhon mein uDa lete hain dil

dilrubai bhi nazar ka kaam hai

tegh kyun chalne mein bal khane lagi

ye teri nazuk kamar ka kaam hai

sine se kuchh haT ke hai dil ki jagah

is jagah tirchhi nazar ka kaam hai

be-chale hi panw dete hain jawab

manzil-e-ulfat mein sar ka kaam hai

qudsiyon se kaun bazi le gaya

ye bashar hai ye bashar ka kaam hai

motiyon se munh tera bharna 'jalil'

aasif-e-ali-guhar ka kaam hai

(729) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Aashiqi Kya Har Bashar Ka Kaam Hai In English By Famous Poet Jaleel Manikpuri. Aashiqi Kya Har Bashar Ka Kaam Hai is written by Jaleel Manikpuri. Read famous Poem Aashiqi Kya Har Bashar Ka Kaam Hai for youth and Student by Jaleel Manikpuri. Free Download Aashiqi Kya Har Bashar Ka Kaam Hai in PDF.