Ab Kaun Phir Ke Jae Teri Jalwa-gah Se

ab kaun phir ke jae teri jalwa-gah se

o shoKH chashm phunk de barq-e-nigah se

kis shan se chala hai mera shahsawar-e-husn

fitne pukarte hain zara haT ke rah se

jhapki palak tu barq falak se zamin pe thi

sambhla na koi gir ke tumhaari nigah se

dilchasp ho gai tere chalne se rahguzar

uTh uTh ke gard-e-rah lipaTti hai rah se

mizan khaDi hui mere aage na roz-e-hashr

dabna paDa use mere bar-e-gunah se

dekho phir aise dekhne wale na paoge

kyun KHak mein milate ho nichi nigah se

aaine aarsi to faqat dekhne ke hain

dekho tum apne husn ko meri nigah se

kasrat se mai jo pi hai nazar hai maal par

rasha nahin hai kanp raha hun gunah se

paya buland kyun na hamara ho ai 'jalil'

paya hai faiz amir-e-suKHan dastgah se

(731) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ab Kaun Phir Ke Jae Teri Jalwa-gah Se In English By Famous Poet Jaleel Manikpuri. Ab Kaun Phir Ke Jae Teri Jalwa-gah Se is written by Jaleel Manikpuri. Read famous Poem Ab Kaun Phir Ke Jae Teri Jalwa-gah Se for youth and Student by Jaleel Manikpuri. Free Download Ab Kaun Phir Ke Jae Teri Jalwa-gah Se in PDF.