Abhi Se Aafat-e-jaan Hai Ada Ada Teri

abhi se aafat-e-jaan hai ada ada teri

ye ibtida hai to kya hogi intiha teri

meri samajh mein ye qatil na aaj tak aaya

ki qatl karti hai talwar ya ada teri

naqab lakh chhupae wo chhup nahin sakti

meri nazar mein jo surat hai dilruba teri

lahu ki bund bhi ai tir-e-yar dil mein nahin

ye fikr hai ki tawazo karun main kya teri

sungha rahi hai mujhe ghash mein nikhat-e-gesu

KHuda daraaz kare umr ai saba teri

ada pe naz to hota hai sab hasinon ko

faza ko naz hai jis par wo hai ada teri

'jalil' yar ke dar tak guzar nahin na sahi

hazar shukr ki hai us ke dil mein ja teri

(782) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Abhi Se Aafat-e-jaan Hai Ada Ada Teri In English By Famous Poet Jaleel Manikpuri. Abhi Se Aafat-e-jaan Hai Ada Ada Teri is written by Jaleel Manikpuri. Read famous Poem Abhi Se Aafat-e-jaan Hai Ada Ada Teri for youth and Student by Jaleel Manikpuri. Free Download Abhi Se Aafat-e-jaan Hai Ada Ada Teri in PDF.