Ajib Husn Hai Un SurKH SurKH Galon Mein

ajib husn hai un surKH surKH galon mein

mai-e-do-atisha bhar di hai do piyalon mein

sunen jo aap to sona haram ho jae

tamam raat guzarti hai jin KHayalon mein

ummid o yas ne jhagDe mein Dal rakkha hai

na jine walon mein hum hain na marne walon mein

chaman mein gul bhi hina bhi magar nasib ki baat

koi to sar chaDhe koi ho paemalon mein

nasim-e-shama-e-lahad ko zara bachae hue

yahi hai ek gharibon ke rone walon mein

yahan KHizan ka na khaTka na KHauf gulchin ka

bahaar gul mein rahe ya tumhaare galon mein

nahin hai lutf ki KHalwat mein ghair shamil ho

uTha do shama ko ye bhi hai jalne walon mein

chubhega kya dil-e-pur-KHun ka raaz aankhon se

jo hoga shishe mein aaega wo piyalon mein

hazar shukr ki hum naqs mein hue kaamil

'jalil' rah gai baat apni zi-kamalon mein

(700) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ajib Husn Hai Un SurKH SurKH Galon Mein In English By Famous Poet Jaleel Manikpuri. Ajib Husn Hai Un SurKH SurKH Galon Mein is written by Jaleel Manikpuri. Read famous Poem Ajib Husn Hai Un SurKH SurKH Galon Mein for youth and Student by Jaleel Manikpuri. Free Download Ajib Husn Hai Un SurKH SurKH Galon Mein in PDF.