Aks Hai Aaina-e-dahr Mein Surat Meri

aks hai aaina-e-dahr mein surat meri

kuchh haqiqat nahin itni hai haqiqat meri

dekhta main use kyunkar ki naqab uThte hi

ban ke diwar khaDi ho gai hairat meri

roz wo KHwab mein aate hain gale milne ko

main jo sota hun to jag uThti hai qismat meri

sach hai ehsan ka bhi bojh bahut hota hai

chaar phulon se dabi jati hai turbat meri

aaine se unhen kuchh uns nahin baat ye hai

chahte hain koi dekha kare surat meri

main ye samjhun koi mashuq mere hath aaya

mere qabu mein jo aa jae tabiat meri

bu-e-gesu ne shagufa ye naya chhoDa hai

nikhat-e-gul se ulajhti hai tabiat meri

un se izhaar-e-mohabbat jo koi karta hai

dur se us ko dikha dete hain turbat meri

jate jate wo yahi kar gae takid 'jalil'

dil mein rakhiyega hifazat se mohabbat meri

(720) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Aks Hai Aaina-e-dahr Mein Surat Meri In English By Famous Poet Jaleel Manikpuri. Aks Hai Aaina-e-dahr Mein Surat Meri is written by Jaleel Manikpuri. Read famous Poem Aks Hai Aaina-e-dahr Mein Surat Meri for youth and Student by Jaleel Manikpuri. Free Download Aks Hai Aaina-e-dahr Mein Surat Meri in PDF.